apne dil ko ek patthar bhi banaana padta hai
ab samajhdari se mujhko ghar chalaana padta hai
is makaan ko mere ghar bhi to banaana hai abhi
isliye sab chhodkar mujh ko kamaana padta hai
main bada hoon ghar ka so khul kar main ro saktaa nahin
ashk aankhon mein chhupaakar muskurana padta hai
अपने दिल को एक पत्थर भी बनाना पड़ता है
अब समझदारी से मुझको घर चलाना पड़ता है
इस मकाँ को मेरे घर भी तो बनाना है अभी
इसलिए सब छोड़कर मुझ को कमाना पड़ता है
मैं बड़ा हूँ घर का सो खुल कर मैं रो सकता नहीं
अश्क आँखों में छुपाकर मुस्कुराना पड़ता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Harsh Kumar
our suggestion based on Harsh Kumar
As you were reading Dil Shayari Shayari