zindagi ham ne ziyaada to dekhi nahin
roti to dekhi par dekhi chakki nahin
shaakh se patta girta to dekha hai par
ped kii jad kabhi maine dekhi nahin
kaise maaloom hogi talab bhookh kii
maine khaai kabhi sookhi roti nahin
ye mera gham to itna bada gham nahin
jab talak ye meri aankhen roti nahin
pyaar mein andha bhi ho ke dekha hai par
maine chitthi jala kar ke dekhi nahin
chhod jaana kisi ka zaroori hai gar
vo na jaaye to phir shaayari hi nahin
hai liya thaan gar door jaana so ab
main bhi tera nahin aur tu meri nahin
kaise aasaani se bhool jaate hain sab
par tu to mere dil se gai hi nahin
ज़िंदगी हम ने ज़्यादा तो देखी नहीं
रोटी तो देखी पर देखी चक्की नहीं
शाख़ से पत्ता गिरता तो देखा है पर
पेड़ की जड़ कभी मैंने देखी नहीं
कैसे मालूम होगी तलब भूख की
मैंने खाई कभी सूखी रोटी नहीं
ये मिरा ग़म तो इतना बड़ा ग़म नहीं
जब तलक ये मिरी आँखें रोती नहीं
प्यार में अंधा भी हो के देखा है पर
मैंने चिट्ठी जला कर के देखी नहीं
छोड़ जाना किसी का ज़रूरी है गर
वो न जाए तो फिर शाइरी ही नहीं
है लिया ठान गर दूर जाना सो अब
मैं भी तेरा नहीं और तू मेरी नहीं
कैसे आसानी से भूल जाते हैं सब
पर तू तो मेरे दिल से गई ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading Dard Shayari Shayari