mujhe ye zindagi lambi chalaani hai
samandar paar ik kashti le jaani hai
hazaaron khwaahishein meri bhi baaki hain
ye saari bheed deewani banaani hai
mukarrar aayega ghazalon pe meri bhi
suna kar sher ye mehfil uthaani hai
zamaana bhi gale mujhko lagaayega
mujhe bas apni kuchh qeemat badhaani hai
मुझे ये ज़िंदगी लम्बी चलानी है
समंदर पार इक कश्ती ले जानी है
हज़ारों ख़्वाहिशें मेरी भी बाक़ी हैं
ये सारी भीड़ दीवानी बनानी है
मुक़र्रर आएगा ग़ज़लों पे मेरी भी
सुना कर शेर ये महफ़िल उठानी है
ज़माना भी गले मुझको लगाएगा
मुझे बस अपनी कुछ क़ीमत बढ़ानी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading Samundar Shayari Shayari