yaar tum hi meri mohabbat ho
kaash tumko bhi meri aadat ho
meri ghazlon mein zikr hai tera
in ko padh kar tujhe bhi hairat ho
mar gaya ladka ik mohabbat mein
kaash usko naseeb jannat ho
becha hai jism ik tawaayaf ne
dhundhe mein thodi sii to laagat ho
pol sab kii to khul hi jaayegi
gar mere ghar mein ek aurat ho
us ne barbaad hai kiya mujhko
so use thodi sii to ghairat ho
haar jaate hain sab mohabbat mein
ab bhale haath mein vakaalat ho
ek tak dekha hai mujhe usne
yaar ab to mujhe izafat ho
ham hi kyun peecha ab karein uska
thodi uski taraf se harkat ho
यार तुम ही मिरी मोहब्बत हो
काश तुमको भी मेरी आदत हो
मेरी ग़ज़लों में ज़िक्र है तेरा
इन को पढ़ कर तुझे भी हैरत हो
मर गया लड़का इक मोहब्बत में
काश उसको नसीब जन्नत हो
बेचा है जिस्म इक तवायफ़ ने
धंधे में थोड़ी सी तो लागत हो
पोल सब की तो खुल ही जाएगी
गर मिरे घर में एक औरत हो
उस ने बर्बाद है किया मुझको
सो उसे थोड़ी सी तो ग़ैरत हो
हार जाते हैं सब मोहब्बत में
अब भले हाथ में वकालत हो
एक टक देखा है मुझे उसने
यार अब तो मुझे इज़ाफ़त हो
हम ही क्यूँ पीछा अब करें उसका
थोड़ी उसकी तरफ़ से हरकत हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading Kashmir Shayari Shayari