ai saaqiya ab kya gila us naam se | ऐ साक़िया अब क्या गिला उस नाम से

  - Manohar Shimpi

ai saaqiya ab kya gila us naam se
ragbat kahaan hai chhod ab ik jaam se

haan zikr bhi uska kiya karta kabhi
ab dar nahin lagta mujhe anjaam se

raatein kahaan kattin meri ab hijr mein
kya soch ke tanhaa raha hoon shaam se

ab maykade mein bhi khushi hai gham kahaan
phir dard vo tera gaya kya jaam se

be khauf hi sach mein jiye sab saath mein
darte nahin the tab kisi anjaam se

haasil kiya paaya sabhi sammaan se
hota nahin mayus chhote kaam se

ab farq kya padta manohar naam se
jo the zabaan par vo hue gumnaam se

ऐ साक़िया अब क्या गिला उस नाम से
रग़बत कहाँ है छोड़ अब इक जाम से

हाँ ज़िक्र भी उसका किया करता कभी
अब डर नहीं लगता मुझे अंजाम से

रातें कहाँ कटतीं मेरी अब हिज्र में
क्या सोच के तन्हा रहा हूँ शाम से

अब मयकदे में भी ख़ुशी है ग़म कहाँ
फिर दर्द वो तेरा गया क्या जाम से

बे- ख़ौफ़ ही सच में जिए सब साथ में
डरते नहीं थे तब किसी अंजाम से

हासिल किया पाया सभी सम्मान से
होता नहीं मायूस छोटे काम से

अब फ़र्क़ क्या पड़ता मनोहर नाम से
जो थे ज़बाँ पर वो हुए गुमनाम से

  - Manohar Shimpi

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari