door rah ke qareeb hai yaaron
sach kahoon vo habeeb hai yaaron
raah mein hai jawaan fiza phir bhi
vo nazare ajeeb hai yaaron
zindagi ek khel hi to hai
aur saansen habeeb hai yaaron
aap jaise rafeeq hain thode
ye hamaara naseeb hai yaaron
silsile hi na hain abhi phir bhi
ishq me kyun raqeeb hai yaaron
is kadar phir dhadhak rahi hai kyun
aag jaise qareeb hai yaaron
दूर रह के क़रीब है यारों
सच कहूँ वो हबीब है यारों
राह में है जवाँ फ़िज़ा फिर भी
वो नज़ारे अजीब है यारों
ज़िंदगी एक खेल ही तो है
और साँसें हबीब है यारों
आप जैसे रफ़ीक़ हैं थोड़े
ये हमारा नसीब है यारों
सिलसिले ही न हैं अभी फिर भी
इश्क़ मे क्यों रक़ीब है यारों
इस कदर फिर धधक रही है क्यों
आग जैसे क़रीब है यारों
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Sach Shayari Shayari