ishq ki baat se raah mein kho gaya
subh se shaam phir chaah mein kho gaya
dekhte dekhte dang kyun phir hua
ek muskaan se khwaah mein kho gaya
chahiye tha mujhe jo wahi to mila
dekhke phir usi jaah mein kho gaya
shab sulagti rahi aur bujhti rahi
husn-e-shab dekhke gaah mein kho gaya
raah chalte mera kaam kuchh rah gaya
phir akela usi raah mein kho gaya
ik numaish jahaan jaadu kya chal gaya
phir khushamad bhari waah mein kho gaya
raat ke us pahar sham'a aise jali
chaand bhi aur hi raah mein kho gaya
ik mulaqaat mein kya pata kya hua
humsafar tere hi khwaah mein kho gaya
इश्क़ की बात से राह में खो गया
सुब्ह से शाम फिर चाह में खो गया
देखते देखते दंग क्यूँ फिर हुआ
एक मुस्कान से ख़्वाह में खो गया
चाहिए था मुझे जो वही तो मिला
देखके फिर उसी जाह में खो गया
शब सुलगती रही और बुझती रही
हुस्न-ए-शब देखके गाह में खो गया
राह चलते मेरा काम कुछ रह गया
फिर अकेला उसी राह में खो गया
इक नुमाइश जहांँ जादू क्या चल गया
फिर ख़ुशामद भरी वाह में खो गया
रात के उस पहर शम्अ' ऐसे जली
चाँद भी और ही राह में खो गया
इक मुलाक़ात में क्या पता क्या हुआ
हमसफ़र तेरे ही ख़्वाह में खो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Shaam Shayari Shayari