khush-fahm sa khushiyaan lutaaye ja raha hoon main yahaan | ख़ुश-फ़हम सा ख़ुशियाँ लुटाए जा रहा हूँ मैं यहांँ - Manohar Shimpi

khush-fahm sa khushiyaan lutaaye ja raha hoon main yahaan
bichhde hue ko phir milaaye ja raha hoon main yahaan

berang si holi kahaan par khelta hai phir koi
range hue kapde dikhaaye ja raha hoon main yahaan

har pal yahan in uljhnon se seekhna hai ab mujhe
is naasamjh dil ko bataaye ja raha hoon main yahaan

sammaan yoddha ka kiya karte sabhi ahl-e-watan
unke liye taali bajaae ja raha hoon main yahaan

nafrat bhara maahol ab bhi waqai maujood hai
kuch faasle uske mitaaye ja raha hoon main yahaan

ash'aar dil se likh raha hoon is ghazal ke main abhi
likhke ghazal misre sajaaye ja raha hoon main yahaan

ख़ुश-फ़हम सा ख़ुशियाँ लुटाए जा रहा हूँ मैं यहांँ
बिछड़े हुए को फिर मिलाए जा रहा हूँ मैं यहांँ

बेरंग सी होली कहाँ पर खेलता है फिर कोई
रंगे हुए कपड़े दिखाए जा रहा हूँ मैं यहांँ

हर पल यहाँ इन उलझनों से सीखना है अब मुझे
इस नासमझ दिल को बताए जा रहा हूँ मैं यहांँ

सम्मान योद्धा का किया करते सभी अहल-ए-वतन
उनके लिए ताली बजाए जा रहा हूँ मैं यहांँ

नफ़रत भरा माहौल अब भी वाकई मौजूद है
कुछ फ़ासले उसके मिटाए जा रहा हूँ मैं यहांँ

अश'आर दिल से लिख रहा हूँ इस ग़ज़ल के मैं अभी
लिखके ग़ज़ल मिसरे सजाए जा रहा हूँ मैं यहांँ

- Manohar Shimpi
1 Like

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari