roz jugnoo hi kahaan udte nazar aate hain
gesuon par dekhke lamhe guzar jaate hain
mahz aankhon mein tere ham bhool sab jaate hain
tere naina vo karaare hi nazar aate hain
khwaab hamne bhi kabhi to tere dekhe hi the
mahz saare kyun usi shab mein bikhar jaate hain
haal tera kaash thoda ham samajh bhi paate
dost hote da'atan teri khabar laate hain
saathiya ye haal tune kya kiya hai unka
ishq mein ab vo bharosa hi na kar paate hain
रोज़ जुगनू ही कहाँ उड़ते नज़र आते हैं
गेसुओं पर देखके लम्हे गुज़र जाते हैं
महज़ आँखों में तेरे हम भूल सब जाते हैं
तेरे नैना वो करारे ही नज़र आते हैं
ख़्वाब हमने भी कभी तो तेरे देखे ही थे
महज़ सारे क्यों उसी शब में बिखर जाते हैं
हाल तेरा काश थोड़ा हम समझ भी पाते
दोस्त होते दफ़'अतन तेरी ख़बर लाते हैं
साथिया ये हाल तूने क्या किया है उनका
इश्क़ में अब वो भरोसा ही न कर पाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Raat Shayari Shayari