zindagi zindagi mein nahin ab
baat vo aashiqi mein nahin ab
jaan tak de gaye log socho
pyaar aisa kisi mein nahin ab
ik nazar aasmaan par hai daali
chaand khud raushni mein nahin ab
baad tere safar chhod aaye
dekh ham us gali mein nahin ab
jo mera naach kar hosh kho de
dam kisi morni mein nahin ab
ishq par ik kahaavat likhi hai
ishq shaamil khushi mein nahin ab
khud sabhi log ka mas'ala hai
ye kami bas humeen mein nahin ab
ज़िंदगी ज़िंदगी में नहीं अब
बात वो आशिक़ी में नहीं अब
जान तक दे गए लोग सोचो
प्यार ऐसा किसी में नहीं अब
इक नज़र आसमाँ पर है डाली
चाँद ख़ुद रौशनी में नहीं अब
बाद तेरे सफ़र छोड़ आए
देख हम उस गली में नहीं अब
जो मिरा नाच कर होश खो दे
दम किसी मोरनी में नहीं अब
इश्क़ पर इक कहावत लिखी है
इश्क़ शामिल ख़ुशी में नहीं अब
ख़ुद सभी लोग का मसअला है
ये कमी बस हमीं में नहीं अब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manish watan
our suggestion based on Manish watan
As you were reading Aadmi Shayari Shayari