kaise samjhoge tum hamaara dukh | कैसे समझोगे तुम हमारा दुख

  - Meem Maroof Ashraf

kaise samjhoge tum hamaara dukh
hai hamaara nahin tumhaara dukh

jitna chaaho ata kiye jaao
aaj kal hai hamein gawara dukh

ek do dukh agar ho kaisa dukh
ham ko hain ek sau athaarah dukh

ab ke aana to phir nahin jaana
aur dena na ab khudaara dukh

shaadman-dil ye khaak samjhenge
kis qadar hota hai ye pyaara dukh

koi to dukh ka ho mere saathi
tanhaa firta hai maara maara dukh

dekh kar mujh ko log kahte hain
hai mujhe aaj bhi tumhaara dukh

kuchh khuda us ko bhi diya hota
kya ki ham par hi sab utaara dukh

dukh se ashraf dukhi ho ke ham ne
zor se aakhirsh pukaara dukh

कैसे समझोगे तुम हमारा दुख
है हमारा, नहीं तुम्हारा दुख

जितना चाहो अता किए जाओ
आज कल है हमें गवारा दुख

एक दो दुख अगर हो कैसा दुख
हम को हैं एक सौ अठारह दुख

अब के आना तो फिर नहीं जाना
और देना न अब ख़ुदारा दुख

शादमाँ-दिल ये ख़ाक समझेंगे
किस क़दर होता है ये प्यारा दुख

कोई तो दुख का हो मिरे साथी
तन्हा फिरता है मारा मारा दुख

देख कर मुझ को लोग कहते हैं
है मुझे आज भी तुम्हारा दुख

कुछ ख़ुदा उस को भी दिया होता
क्या कि हम पर ही सब उतारा दुख

दुख से 'अशरफ़' दुखी हो के हम ने
ज़ोर से आख़िरश पुकारा दुख

  - Meem Maroof Ashraf

haseen Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Maroof Ashraf

As you were reading Shayari by Meem Maroof Ashraf

Similar Writers

our suggestion based on Meem Maroof Ashraf

Similar Moods

As you were reading haseen Shayari Shayari