ab jahaan waalon ke lab par kyun hain taale pad gaye | अब जहाँ वालों के लब पर क्यूँ हैं ताले पड़ गए

  - Meena Bhatt

ab jahaan waalon ke lab par kyun hain taale pad gaye
gul muhabbat ke sabhi murjha ke kaale pad gaye

aabaa-o-ajdaad ne chhodi theen jo jaageer vo
bech di beton ne aur roti ke laale pad gaye

khoon-aalooda hai sadken mazhabi unmaad hai
amn ke baatil sabhi dekho maqaale pad gaye

naqsh mitte hi nahin itihaas ke aoraq se
zaalimon ke zulm padh aankhon mein jaale pad gaye

raasta pehle to apna teergi mein gum raha
aur phir asoj ke peechhe ujaale pad gaye

ahl-e-danish ne hamein yaaro nachaaya tha yahan
sabr kii talkeen mein pairo'n mein chaale pad gaye

aakhiri lamhe talak ladta raha mazloom bhi
toota meena hausla aur mand naale pad gaye

अब जहाँ वालों के लब पर क्यूँ हैं ताले पड़ गए
गुल मुहब्बत के सभी मुरझा के काले पड़ गए

आबा-ओ-अज्दाद ने छोड़ी थीं जो जागीर वो
बेच दी बेटों ने और रोटी के लाले पड़ गए

ख़ून-आलूदा है सड़कें मज़हबी उन्माद है
अम्न के बातिल सभी देखो मक़ाले पड़ गए

नक़्श मिटते ही नहीं इतिहास के औराक़ से
ज़ालिमों के ज़ुल्म पढ़ आँखों में जाले पड़ गए

रास्ता पहले तो अपना तीरगी में गुम रहा
और फिर आसोज के पीछे उजाले पड़ गए

अहल-ए-दानिश ने हमें यारो नचाया था यहाँ
सब्र की तलक़ीन में पैरों में छाले पड़ गए

आख़िरी लम्हे तलक लड़ता रहा मज़लूम भी
टूटा 'मीना' हौसला और मंद नाले पड़ गए

  - Meena Bhatt

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari