bhool nafrat tukhm-e-ulfat rakh lo bone ke liye | भूल नफ़रत तुख़्म-ए-उल्फ़त रख लो बोने के लिए

  - Meena Bhatt

bhool nafrat tukhm-e-ulfat rakh lo bone ke liye
pyaar mein doobo kisi ke tum bhi hone ke liye

khwaab jo mere liye dekhe mukammal ho gaye
aaya hoon maa tere qadmon ko hi dhone ke liye

rehnuma koi na saccha hamko mil paaya kabhi
nakuda jo bhi mila kashti dubone ke liye

ishq mera ye mukammal ho na paaya hai kabhi
hasratein baqi rahi hain ab bhi rone ke liye

zindagi deta hai khuda sapne sajaao tum sabhi
ye nahin hoti nashe mein bas dubone ke liye

haath tera tha nahin mehndi rache in haathon mein
saare hi vo khwaab the bas dekh sone ke liye

chahten saagar ki thi par shabnami boonden miliin
hamko aansu hi mile hain zakhm dhone ke liye

hamnava koi na aur hamdard bhi unka nahin
zindagi muflis ko mili hai bojh dhone ke liye

koi aisa to mile meena kahein ham bhi ghazal
qeemati moti ye lafzon ke pirone ke liye

भूल नफ़रत तुख़्म-ए-उल्फ़त रख लो बोने के लिए
प्यार में डूबो किसी के तुम भी होने के लिए

ख़्वाब जो मेरे लिए देखे मुकम्मल हो गए
आया हूँ माँ तेरे क़दमों को ही धोने के लिए

रहनुमा कोई न सच्चा हमको मिल पाया कभी
नाख़ुदा जो भी मिला कश्ती डुबोने के लिए

इश्क़ मेरा ये मुकम्मल हो न पाया है कभी
हसरतें बाक़ी रही हैं अब भी रोने के लिए

ज़ीस्त देता है ख़ुदा सपने सजाओ तुम सभी
ये नहीं होती नशे में बस डुबोने के लिए

हाथ तेरा था नहीं मेंहदी रचे इन हाथों में
सारे ही वो ख़्वाब थे बस देख सोने के लिए

चाहतें सागर की थी पर शबनमी बूँदें मिलीं
हमको आँसू ही मिले हैं ज़ख़्म धोने के लिए

हमनवा कोई न और हमदर्द भी उनका नहीं
ज़ीस्त मुफ़लिस को मिली है बोझ ढ़ोने के लिए

कोई ऐसा तो मिले मीना कहें हम भी ग़ज़ल
क़ीमती मोती ये लफ़्ज़ों के पिरोने के लिए

  - Meena Bhatt

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari