raah-e-ulfat mein wahi haal puraana dekha | राह-ए-उल्फ़त में वही हाल पुराना देखा

  - Meena Bhatt

raah-e-ulfat mein wahi haal puraana dekha
roti laila mili majnoon bhi bilkhata dekha

aur ham kitna bharosa yun adaalat pe karein
chand sikko mein faqat nyaay ka sauda dekha

saazishein karta raha khod naye gadde jo
usko khud hamne unhin gaddhon mein girta dekha

ab shajar milte kahaan chaanv yahan dene ko
dhoop mein jalte parinde ko hai marta dekha

ghatte bachpan ke kai khel badalte dekhe
bojh baston ka magar peeth pe badhta dekha

amn aur chain kitaabon mein kahin simte rahe
aur nafrat ko kahin zindagi ka hissa dekha

yun to dekhe hain sukhnavar bhi bahut se meena
meer ghalib sa sukhun par na kisi ka dekha

राह-ए-उल्फ़त में वही हाल पुराना देखा
रोती लैला मिली मजनूँ भी बिलखता देखा

और हम कितना भरोसा यूँ अदालत पे करें
चंद सिक्कों में फ़क़त न्याय का सौदा देखा

साज़िशें करता रहा खोद नए गड्ढे जो
उसको ख़ुद हमने उन्ही गड्ढों में गिरता देखा

अब शजर मिलते कहाँ छाँव यहाँ देने को
धूप में जलते परिंदें को है मरता देखा

घटते बचपन के कई खेल बदलते देखे
बोझ बस्तों का मगर पीठ पे बढ़ता देखा

अम्न और चैन किताबों में कहीं सिमटे रहे
और नफ़रत को कहीं ज़ीस्त का हिस्सा देखा

यूँ तो देखे हैं सुख़नवर भी बहुत से मीना
मीर ग़ालिब सा सुख़न पर न किसी का देखा

  - Meena Bhatt

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari