ghazal mein qaafiya umda na sheron mein rawaani hai
kahega kaun teri shayari ye khaandaani hai
rakhi hai baandh ke sir pe wahi pagdi puraani hai
kahein kya aapse ye to buzurgon kii nishaani hai
gaya bachpan suhaana aayi hai rangee jawaani ye
na jaadu kii chhadi koii na pariyon kii kahaani hai
na din mein chain hi milta na aati neend raaton ko
badi hai fikr walid ko hui beti sayaani hai
gaye jab se firaaq-o-meer is duniya-e-faani se
sukhun mein pehle sii raunaq na ghazalon mein bayaani hai
bina uski raza ke shaakh ka patta nahin hilta
zameen mein dekhiye har soo khuda kii hukmraani hai
sukhun kii har gali mein charcha hai meena tumhaara par
miyaan ghalib kii ghazalon ka nahin koii bhi saani hai
ग़ज़ल में क़ाफ़िया उम्दा न शेरों में रवानी है
कहेगा कौन तेरी शायरी ये ख़ानदानी है
रखी है बाँध के सिर पे वही पगड़ी पुरानी है
कहें क्या आपसे ये तो बुज़ुर्गों की निशानी है
गया बचपन सुहाना आई है रंगी जवानी ये
न जादू की छड़ी कोई न परियों की कहानी है
न दिन में चैन ही मिलता न आती नींद रातों को
बड़ी है फ़िक्र वालिद को हुई बेटी सयानी है
गए जब से फ़िराक़-ओ-मीर इस दुनिया-ए-फानी से
सुख़न में पहले सी रौनक़ न ग़ज़लों में बयानी है
बिना उसकी रज़ा के शाख़ का पत्ता नहीं हिलता
ज़मीं में देखिए हर सू ख़ुदा की हुक्मरानी है
सुख़न की हर गली में चर्चा है मीना तुम्हारा पर
मियाँ ग़ालिब की ग़ज़लों का नहीं कोई भी सानी है
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari