mera ham-fahm hamnava hai ishq
daur-e-furqat mein rehnuma hai ishq
ye banata bhi hai mitaata bhi
kya kaha aapka khuda hai ishq
aakhir ilzaam se daroon kyun main
ab to mujhko bhi ho gaya hai ishq
jurm har roz vo hi karte hain
jinko lagta hai paarsa hai ishq
raah-e-ulfat mein phir sambhalna kyun
jab pata ho ki zalzala hai ishq
dasht-e-shafqat rakhen sabhi lekin
vo hi jisne kabhi kiya hai ishq
naam badnaam may ka kyun meena
umr bhar ka khula nasha hai ishq
मेरा हम-फ़हम हमनवा है इश्क़
दौर-ए-फ़ुर्क़त में रहनुमा है इश्क़
ये बनाता भी है मिटाता भी
क्या कहा आपका ख़ुदा है इश्क़
आख़िर इल्ज़ाम से डरूँ क्यों मैं
अब तो मुझको भी हो गया है इश्क़
जुर्म हर रोज़ वो ही करते हैं
जिनको लगता है पारसा है इश्क़
राह-ए-उल्फ़त में फिर सँभलना क्यों
जब पता हो कि ज़लज़ला है इश्क़
दश्त-ए-शफ़क़त रखें सभी लेकिन
वो ही जिसने कभी किया है इश्क़
नाम बदनाम मय का क्यों 'मीना'
उम्र भर का खुला नशा है इश्क़
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari