jaam nazron ke jo chalakao to phir sher kahein | जाम नज़रों के जो छलकाओ तो फिर शेर कहें

  - Meena Bhatt

jaam nazron ke jo chalakao to phir sher kahein
khwaab hamko haseen dikhlaao to phir sher kahein

laut kar din nahin kyun aate hain phir bachpan ke
ye paheli koii suljhaao to phir sher kahein

zakhm saare ye nishaani hain meri ulfat ke
tum kabhi dil mera bahlaao to phir sher kahein

zindagi kii hai jo bagiya badi feeki-feeki
isko tum pyaar se mehkaao to phir sher kahe

jab bhi milte the jhuka lete the nazren apni
aaj phir vaise hi sharmao to phir sher kahein

besabab baat banaate hain vo ab milne par
raaz ye ishq ka samjhaao to phir sher kahein

dil mein ummeed ka deepak bhi jala do meena
gham ghareebon ke na dahkaao to phir sher kahein

जाम नज़रों के जो छलकाओ तो फिर शेर कहें
ख़्वाब हमको हसीं दिखलाओ तो फिर शेर कहें

लौट कर दिन नहीं क्यूँ आते हैं फिर बचपन के
ये पहेली कोई सुलझाओ तो फिर शेर कहें

ज़ख़्म सारे ये निशानी हैं मेरी उल्फ़त के
तुम कभी दिल मेरा बहलाओ तो फिर शेर कहें

ज़िन्दगी की है जो बगिया बड़ी फीकी-फीकी
इसको तुम प्यार से महकाओ तो फिर शेर कहे

जब भी मिलते थे झुका लेते थे नज़रें अपनी
आज फिर वैसे ही शरमाओ तो फिर शेर कहें

बेसबब बात बनाते हैं वो अब मिलने पर
राज़ ये इश्क़ का समझाओ तो फिर शेर कहें

दिल में उम्मीद का दीपक भी जला दो मीना
ग़म ग़रीबों के न दहकाओ तो फिर शेर कहें

  - Meena Bhatt

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari