zindagi mein haasil nahin hai yun to aasaani mujhe | ज़ीस्त में हासिल नहीं है यूँ तो आसानी मुझे

  - Meena Bhatt

zindagi mein haasil nahin hai yun to aasaani mujhe
par jhuka sakte nahin takht-e-sulaimani mujhe

vo rahein khaamosh to hoti pareshaani mujhe
chhote bacchon ki bahut bhaati hai shaitani mujhe

lutf leti hoon faqeeri ka nahin shikwa koi
achhi lagti desh ki mitti ye multani mujhe

kah raha saagar bada mayus hokar ke suno
nit dubaakar ret ka ghar hai pashemaani mujhe

raushni khushboo na mujhmein koi aisi baat hai
log naahak kah rahe hain raat ki raani mujhe

maykashi ka shauq le aaya mujhe dekho kahaan
le ke jaayegi kahaan ab meri nadaani mujhe

baad muddat ke ghazal meena ne kah daali magar
apni lagti hi nahin lagti hai begaani mujhe

ज़ीस्त में हासिल नहीं है यूँ तो आसानी मुझे
पर झुका सकते नहीं तख़्त-ए-सुलेमानी मुझे

वो रहें ख़ामोश तो होती परेशानी मुझे
छोटे बच्चों की बहुत भाती है शैतानी मुझे

लुत्फ़ लेती हूँ फ़क़ीरी का नहीं शिकवा कोई
अच्छी लगती देश की मिट्टी ये मुल्तानी मुझे

कह रहा सागर बड़ा मायूस होकर के सुनो
नित डुबाकर रेत का घर है पशेमानी मुझे

रौशनी ख़ुशबू न मुझमें कोई ऐसी बात है
लोग नाहक़ कह रहे हैं रात की रानी मुझे

मयकशी का शौक़ ले आया मुझे देखो कहाँ
ले के जाएगी कहाँ अब मेरी नादानी मुझे

बाद मुद्दत के ग़ज़ल 'मीना' ने कह डाली मगर
अपनी लगती ही नहीं लगती है बेगानी मुझे

  - Meena Bhatt

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari