ghairoon ne samaat kiya jab pyaar ka lahja | ग़ैरों ने समाअत किया जब प्यार का लहजा

  - Meena Bhatt

ghairoon ne samaat kiya jab pyaar ka lahja
takraar ka lahja bana iqaar ka lahja

kab tak rakhen sarkaar se manuhaar ka lahja
manhgaai ne badla hai jo bazaar ka lahja

jo saath nahin do koi majboori bata do
itna na rakho sakht ye inkaar ka lahja

dushman na bana dost bina baat ke apne
hota nahin achha kabhi takraar ka lahja

deewaar mein chunwa diya maasoom ko zinda
barbar hai bahut shah ke darbaar ka lahja

badkaariyaan jo karte hain din-raat gulon se
mitti mein mila dega unhen khaar ka lahja

kuchh paich nazar aate hain yaara abhi ismein
hoga ye mukammal kabhi kirdaar ka lahja

mehfil mein sukhnavar teri aate hain hazaaron
milta na magar koi bhi gulzaar ka lahja

har shakhs ke dil mein ye utar jaata hai meena
dilkash hai bahut aapke ashaar ka lahja

meena bhatt siddharth

ग़ैरों ने समाअत किया जब प्यार का लहजा
तकरार का लहजा बना इक़रार का लहजा

कब तक रखें सरकार से मनुहार का लहजा
मँहगाई ने बदला है जो बाज़ार का लहजा

जो साथ नहीं दो कोई मजबूरी बता दो
इतना न रखो सख़्त ये इनकार का लहजा

दुश्मन न बना दोस्त बिना बात के अपने
होता नहीं अच्छा कभी तकरार का लहजा

दीवार में चुनवा दिया मासूम को ज़िन्दा
बर्बर है बहुत शाह के दरबार का लहजा

बदकारियाँ जो करते हैं दिन-रात गुलों से
मिट्टी में मिला देगा उन्हें ख़ार का लहजा

कुछ पेंच नज़र आते हैं यारा अभी इसमें
होगा ये मुकम्मल कभी किरदार का लहजा

महफ़िल में सुख़नवर तेरी आते हैं हज़ारों
मिलता न मगर कोई भी गुलज़ार का लहजा

हर शख़्स के दिल में ये उतर जाता है 'मीना'
दिलकश है बहुत आपके अशआर का लहजा

मीना भट्ट *सिद्धार्थ*

  - Meena Bhatt

Bebas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Bebas Shayari Shayari