nafraton mein shahr ko shamshaan karte rah gaye | नफ़रतों में शह्र को शमशान करते रह गए

  - Meena Bhatt

nafraton mein shahr ko shamshaan karte rah gaye
mazhabon ke naam pe veeraan karte rah gaye

jinko kursi mil gai abhimaan karte rah gaye
ham to apne vote ka hi daan karte rah gaye

mit gaye naamo nishaan kuchh bhi nahin baqi raha
aur ham toofaan ka gun-gaan karte rah gaye

qatl karte hi rahe khaamosh ho jazbaat ka
galatiyon ka hi hamesha bhaan karte rah gaye

qaamyaabi mein hamaare uska tha rahm-o-karam
ham magar insaan the abhimaan karte rah gaye

loot daala tha khizaan ne jaan se pyaara chaman
ham bahaaron ka faqat armaan karte rah gaye

khokhla karte rahe gaddaar baithe desh ko
ham hifazat ke liye balidaan karte rah gaye

नफ़रतों में शह्र को शमशान करते रह गए
मज़हबों के नाम पे वीरान करते रह गए

जिनको कुर्सी मिल गई अभिमान करते रह गए
हम तो अपने वोट का ही दान करते रह गए

मिट गए नामो निशाँ कुछ भी नहीं बाक़ी रहा
और हम तूफ़ान का गुणगान करते रह गए

क़त्ल करते ही रहे ख़ामोश हो जज़्बात का
गलतियों का ही हमेशा भान करते रह गए

क़ामयाबी में हमारे उसका था रहम-ओ-करम
हम मगर इंसान थे अभिमान करते रह गए

लूट डाला था ख़िज़ाँ ने जान से प्यारा चमन
हम बहारों का फ़क़त अरमान करते रह गए

खोखला करते रहे गद्दार बैठे देश को
हम हिफ़ाज़त के लिए बलिदान करते रह गए

  - Meena Bhatt

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari