jab bhi vo benaqab hote hain
qatl laakhon janab hote hain
chalte imaan pe hamesha jo
log vo qaamyaab hote hain
maqsad-e-zindagi mile jisko
uske poore hisaab hote hain
lene aaghosh mein nahin fursat
bas sawaal-o-jawaab hote hain
chaand khud sharmasaar hota hai
jab bhi vo behijaab hote hain
log padhte hain chaav se unko
jinke chehre kitaab hote hain
dard seene me paalte hain ham
sher tab laajwaab hote hain
sach kii karte hain jo ibadat bhi
phir mukammal bhi khwaab hote hain
जब भी वो बेनक़ाब होते हैं
क़त्ल लाखों जनाब होते हैं
चलते ईमान पे हमेशा जो
लोग वो क़ामयाब होते हैं
मक़सद-ए-ज़िन्दगी मिले जिसको
उसके पूरे हिसाब होते हैं
लेने आग़ोश में नहीं फ़ुर्सत
बस सवाल-ओ-जवाब होते हैं
चाँद ख़ुद शर्मसार होता है
जब भी वो बेहिजाब होते हैं
लोग पढ़ते हैं चाव से उनको
जिनके चेहरे किताब होते हैं
दर्द सीने मे पालते हैं हम
शेर तब लाजवाब होते हैं
सच की करते हैं जो इबादत भी
फिर मुकम्मल भी ख़्वाब होते हैं
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari