parindon kii tarah udne kii hamne jaldabaazi kii | परिन्दों की तरह उड़ने की हमने जल्दबाज़ी की

  - Meenakshi Masoom

parindon kii tarah udne kii hamne jaldabaazi kii
hamaare paanv mein baandhi gai zanjeer chaandi kii

dukhon mein bhi tumhein khush dekhkar aisa laga jaise
khuda ne phool kaanton mein khilaakar meherbaani kii

zara sa paas baitho to tumhein sab kuchh bataaenge
bataaenge tumhein har wajh apni be-qaraari kii

lage khilkar mahakne ab suhaane phool khwaabon mein
muhabbat ne muqaddas haath se jab baaghbaani kii

na jaane kyun hamaari saadgi jab maang baithe tum
hamein achhi lagi aadat tumhaari is faqiri kii

amaavas kii guzaari raat tanhaa tum nahin aaye
bina mahtaab hamne raat bhar taaron kii ginti kii

zara sa bhi nahin maasoom chehre pe tabassum ab
udaasi ne haseen chehre pe ye kaisi tabaahi kii

परिन्दों की तरह उड़ने की हमने जल्दबाज़ी की
हमारे पाँव में बाँधी गई ज़ंजीर चाँदी की

दुखों में भी तुम्हें ख़ुश देखकर ऐसा लगा जैसे
ख़ुदा ने फूल काँटों में खिलाकर मेहरबानी की

ज़रा सा पास बैठो तो तुम्हें सब कुछ बताएँगे
बताएँगे तुम्हें हर वज्ह अपनी बे-क़रारी की

लगे खिलकर महकने अब सुहाने फूल ख़्वाबों में
मुहब्बत ने मुक़द्दस हाथ से जब बाग़बानी की

न जाने क्यों हमारी सादगी जब माँग बैठे तुम
हमें अच्छी लगी आदत तुम्हारी इस फ़क़ीरी की

अमावस की गुज़ारी रात तन्हा तुम नहीं आए
बिना महताब हमने रात भर तारों की गिनती की

ज़रा सा भी नहीं 'मासूम' चेहरे पे तबस्सुम अब
उदासी ने हसीं चेहरे पे ये कैसी तबाही की

  - Meenakshi Masoom

More by Meenakshi Masoom

As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Meenakshi Masoom

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari