tujhe khabar nahin hai kyun ye imtihaan hai zeest mein
ki fasla sa tere mere darmiyaan hai zeest mein
jahaan jahaan tere qadam mere ai hamnava rahe
wahan wahan likha hua ik ik nishaan hai zeest mein
tu kar raha hai intezaar jiska raat din yahan
vo shakhs hi tere liye to badgumaan hai zeest mein
saja rahe the khwaab ham bhi ek ghar ke vaaste
juda hue to phir ujaad sa makaan hai zeest mein
tamaam raat neend mein tumhin se guftagoo rahi
tumhin ho saath to haseen ye jahaan hai zeest mein
kabhi to laut aa bulandiyon se paas mere tu
khula mere liye na koii aasmaan hai zeest mein
naseeb mein likha mere jo hai use main kya kahoon
dua hai vasl kii to hijr meherbaan hai zeest mein
तुझे ख़बर नहीं है क्यों ये इम्तिहाँ है ज़ीस्त में
कि फ़ासला सा तेरे मेरे दरमियाँ है ज़ीस्त में
जहाँ जहाँ तेरे क़दम मेरे ऐ हमनवा रहे
वहाँ वहाँ लिखा हुआ इक इक निशाँ है ज़ीस्त में
तू कर रहा है इंतज़ार जिसका रात दिन यहाँ
वो शख़्स ही तेरे लिए तो बदगुमाँ है ज़ीस्त में
सजा रहे थे ख़्वाब हम भी एक घर के वास्ते
जुदा हुए तो फिर उजाड़ सा मकाँ है ज़ीस्त में
तमाम रात नींद में तुम्हीं से गुफ़्तगू रही
तुम्हीं हो साथ तो हसीन ये जहाँ है ज़ीस्त में
कभी तो लौट आ बुलंदियों से पास मेरे तू
खुला मेरे लिए न कोई आसमाँ है ज़ीस्त में
नसीब में लिखा मेरे जो है उसे मैं क्या कहूँ
दुआ है वस्ल की तो हिज्र मेहरबाँ है ज़ीस्त में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom
our suggestion based on Meenakshi Masoom
As you were reading Hijr Shayari Shayari