be-yaar shehar dil ka veeraan ho raha hai | बे-यार शहर दिल का वीरान हो रहा है - Meer Taqi Meer

be-yaar shehar dil ka veeraan ho raha hai
dikhlai de jahaan tak maidaan ho raha hai

is manzil-e-jahaan ke baashinde raftani hain
har ik ke haan safar ka samaan ho raha hai

achha laga hai shaayad aankhon mein yaar apni
aaina dekh kar kuch hairaan ho raha hai

gul dekh kar chaman mein tujh ko khila hi ja hai
ya'ni hazaar jee se qurbaan ho raha hai

haal-e-zaboon apna poshida kuch na tha to
sunta na tha ki ye said be-jaan ho raha hai

zalim idhar ki sudh le jun sham-e-subh-gaahi
ek aadh dam ka aashiq mehmaan ho raha hai

qurbaan-gah-e-mohabbat vo ja hai jis mein har soo
dushwaar jaan dena aasaan ho raha hai

har shab gali mein us ki rote to rahte ho tum
ik roz meer sahab toofaan ho raha hai

बे-यार शहर दिल का वीरान हो रहा है
दिखलाई दे जहाँ तक मैदान हो रहा है

इस मंज़िल-ए-जहाँ के बाशिंदे रफ़तनी हैं
हर इक के हाँ सफ़र का सामान हो रहा है

अच्छा लगा है शायद आँखों में यार अपनी
आईना देख कर कुछ हैरान हो रहा है

गुल देख कर चमन में तुझ को खिला ही जा है
या'नी हज़ार जी से क़ुर्बान हो रहा है

हाल-ए-ज़बून अपना पोशीदा कुछ न था तो
सुनता न था कि ये सैद बे-जान हो रहा है

ज़ालिम इधर की सुध ले जूँ शम-ए-सुब्ह-गाही
एक आध दम का आशिक़ मेहमान हो रहा है

क़ुर्बां-गह-ए-मोहब्बत वो जा है जिस में हर सू
दुश्वार जान देना आसान हो रहा है

हर शब गली में उस की रोते तो रहते हो तुम
इक रोज़ 'मीर' साहब तूफ़ान हो रहा है

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari