gai chaanv us teg ki sar se jab ki | गई छाँव उस तेग़ की सर से जब की - Meer Taqi Meer

gai chaanv us teg ki sar se jab ki
jale dhoop mein yaa talak hum ki tab ki

padi khirman-e-gul pe bijli si aakhir
mere khush-nigah ki nigaah ik gazab ki

koi baat nikle hai dushwaar munh se
tak ik to bhi to sun kisi jaan-b-lab ki

tu shamla jo rakhta hai khar hai vagarna
zaroorat hai kya shaikh dam ik wajb ki

yakaayak bhi aa sar pe waamaandagaan ke
bahut dekhte hain tiri raah kab ki

dimaag-o-jigar dil mukhalif hue hain
hui muttafiq ab idhar raay sab ki

tujhe kyoonke dhundhun ki sote hi guzri
tiri raah mein apne piye talab ki

dil arsh se guzre hai zof mein bhi
ye zor-aavari dekho zaari-e-shab ki

ajab kuch hai gar meer aave mayassar
gulaabi sharaab aur ghazal apne dhab ki

गई छाँव उस तेग़ की सर से जब की
जले धूप में याँ तलक हम कि तब की

पड़ी ख़िर्मन-ए-गुल पे बिजली सी आख़िर
मिरे ख़ुश-निगह की निगाह इक ग़ज़ब की

कोई बात निकले है दुश्वार मुँह से
टक इक तो भी तो सुन किसी जाँ-ब-लब की

तू शमला जो रखता है ख़र है वगर्ना
ज़रूरत है क्या शैख़ दम इक वजब की

यकायक भी आ सर पे वामाँदगाँ के
बहुत देखते हैं तिरी राह कब की

दिमाग़-ओ-जिगर दिल मुख़ालिफ़ हुए हैं
हुई मुत्तफ़िक़ अब इधर राय सब की

तुझे क्यूँके ढूँडूँ कि सोते ही गुज़री
तिरी राह में अपने पिए तलब की

दिल अर्श से गुज़रे है ज़ोफ़ में भी
ये ज़ोर-आवरी देखो ज़ारी-ए-शब की

अजब कुछ है गर 'मीर' आवे मयस्सर
गुलाबी शराब और ग़ज़ल अपने ढब की

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari