da'we ko yaar aage maayub kar chuke hain | दा'वे को यार आगे मायूब कर चुके हैं

  - Meer Taqi Meer

da'we ko yaar aage maayub kar chuke hain
is rekhte ko warna ham khoob kar chuke hain

marne se tum hamaare khaatir nachint rakhiyo
us kaam ka bhi ham kuchh usloob kar chuke hain

husn-e-kalaam kheeche kyunkar na daaman-e-dil
is kaam ko ham aakhir mehboob kar chuke hain

hangaama-e-qayaamat taaza nahin jo hoga
ham is tarah ke kitne aashob kar chuke hain

rang-e-parida qaasid baad-e-sehr kabootar
kis kis ke ham hawaale maktub kar chuke hain

tinka nahin raha hai kya ab nisaar kariye
aage hi ham to ghar ko jaarub kar chuke hain

har lahza hai tazaayud ranj-o-gham-o-alam ka
ghalib ki taba-e-dil ko maghloob kar chuke hain

kya jaaniye ki kya hai ai meer wajh zid ki
sau baar ham to us ko mahjoob kar chuke hain

दा'वे को यार आगे मायूब कर चुके हैं
इस रेख़्ते को वर्ना हम ख़ूब कर चुके हैं

मरने से तुम हमारे ख़ातिर नचंत रखियो
उस काम का भी हम कुछ उस्लूब कर चुके हैं

हुस्न-ए-कलाम खींचे क्यूँकर न दामन-ए-दिल
इस काम को हम आख़िर महबूब कर चुके हैं

हंगामा-ए-क़यामत ताज़ा नहीं जो होगा
हम इस तरह के कितने आशोब कर चुके हैं

रंग-ए-परीदा क़ासिद बाद-ए-सहर कबूतर
किस किस के हम हवाले मक्तूब कर चुके हैं

तिनका नहीं रहा है क्या अब निसार करिए
आगे ही हम तो घर को जारूब कर चुके हैं

हर लहज़ा है तज़ायुद रंज-ओ-ग़म-ओ-अलम का
ग़ालिब कि तबा-ए-दिल को मग़्लूब कर चुके हैं

क्या जानिए कि क्या है ऐ 'मीर' वज्ह ज़िद की
सौ बार हम तो उस को महजूब कर चुके हैं

  - Meer Taqi Meer

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari