jab se us bewafa ne baal rakhe
said bandon ne jaal daal rakhe
haath kya aave vo kamar hai hech
yun koi jee mein kuchh khayal rakhe
rah-rav-e-raah khaufnaak ishq
chahiye paanv ko sanbhaal rakhe
pahunchen har ik na dard ko mere
vo hi jaane jo aisa haal rakhe
aise zar dost ho to khair hai ab
maliye us se jo koi maal rakhe
bahs hai naqison se kaash falak
mujh ko is zumre se nikaal rakhe
samjhe andaaz she'r ko mere
meer ka sa agar kamaal rakhe
जब से उस बेवफ़ा ने बाल रखे
सैद बंदों ने जाल डाल रखे
हाथ क्या आवे वो कमर है हेच
यूँ कोई जी में कुछ ख़याल रखे
रह-रव-ए-राह ख़ौफ़नाक इश्क़
चाहिए पाँव को सँभाल रखे
पहुँचे हर इक न दर्द को मेरे
वो ही जाने जो ऐसा हाल रखे
ऐसे ज़र दोस्त हो तो ख़ैर है अब
मलिए उस से जो कोई माल रखे
बहस है नाक़िसों से काश फ़लक
मुझ को इस ज़ुमरे से निकाल रखे
समझे अंदाज़ शे'र को मेरे
'मीर' का सा अगर कमाल रखे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Andaaz Shayari Shayari