koi hua na roo-kush tak meri chashm-e-tar se
kya kya na abr aa kar yaa zor zor barase
vehshat se meri yaaro khaatir na jam'a rakhiyo
phir aave ya na aave nau pur utha jo ghar se
ab jun sarishk un se firne ki chashm mat rakh
jo khaak mein mile hain gir kar tiri nazar se
deedaar khwaah us ke kam hon to shor kam ho
har subh ik qayamat uthati hai us ke dar se
daagh ek ho jila bhi khun ek ho baha bhi
ab bahs kya hai dil se kya guftugoo jigar se
dil kis tarah na kheench ashaar rekhte ke
behtar kya hai main ne us aib ko hunar se
anjaam-e-kaar bulbul dekha ham apni aankhon
aawaara the chaman mein do chaar toote par se
be-taaqati ne dil ki aakhir ko maar rakha
aafat hamaare jee ki aayi hamaare ghar se
dilkash ye manzil aakhir dekha to aah nikli
sab yaar ja chuke the aaye jo ham safar se
aawaara meer shaayad waan khaak ho gaya hai
yak gard uth chale hai gaah us ki raahguzaar se
कोई हुआ न रू-कश टक मेरी चश्म-ए-तर से
क्या क्या न अब्र आ कर याँ ज़ोर ज़ोर बरसे
वहशत से मेरी यारो ख़ातिर न जम्अ' रखियो
फिर आवे या न आवे नौ पुर उठा जो घर से
अब जूँ सरिश्क उन से फिरने की चश्म मत रख
जो ख़ाक में मिले हैं गिर कर तिरी नज़र से
दीदार ख़्वाह उस के कम हों तो शोर कम हो
हर सुब्ह इक क़यामत उठती है उस के दर से
दाग़ एक हो जिला भी ख़ूँ एक हो बहा भी
अब बहस क्या है दिल से क्या गुफ़्तुगू जिगर से
दिल किस तरह न खींचें अशआ'र रेख़्ते के
बेहतर क्या है मैं ने उस ऐब को हुनर से
अंजाम-ए-कार बुलबुल देखा हम अपनी आँखों
आवारा थे चमन में दो चार टूटे पर से
बे-ताक़ती ने दिल की आख़िर को मार रखा
आफ़त हमारे जी की आई हमारे घर से
दिलकश ये मंज़िल आख़िर देखा तो आह निकली
सब यार जा चुके थे आए जो हम सफ़र से
आवारा 'मीर' शायद वाँ ख़ाक हो गया है
यक गर्द उठ चले है गाह उस की रहगुज़र से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Wahshat Shayari Shayari