yaksu kushaada-ravi par cheen nahin jabeen bhi
ham chhodi mehr us ki kaash us ko hove keen bhi
aansu to tere daaman ponche hai waqt giryaa
ham ne na rakhi munh par ai abr-e-aasteen bhi
karta nahin abas to paara gulo-fughaan se
guzre hai paar dil ke ik naala-e-hazeen bhi
hoon ehtizaar mein main aaina-roo shitaab aa
jaata hai warna ghaafil phir dam to vaapasiin bhi
seene se teer us ka jee ko to leta nikla
par saathon saath us ke nikli ik aafreen bhi
har shab tiri gali mein aalam ki jaan ja hai
aage hawa hai ab tak aisa sitam kahi bhi
shokhi-e-jalva us ki taskin kyoonke bakshe
aainon mein dilon ke jo hai bhi phir nahin bhi
gesu hi kuchh nahin hai sumbul ki aafat us ka
hain barq khirman-e-gul rukhsaar-e-aatishi bhi
takleef-e-naala mat kar ai dard dil ki honge
ranjeeda raah chalte aazurda hum-nasheen bhi
kis kis ka daagh dekhen yaarab gham-e-butaan mein
ruksat talab hai jaan bhi eimaan aur deen bhi
zer-e-falak jahaan tak aasooda meer hote
aisa nazar na aaya ik qata-e-zameen bhi
यकसू कुशादा-रवी पर चीं नहीं जबीं भी
हम छोड़ी महर उस की काश उस को होवे कीं भी
आँसू तो तेरे दामन पोंछे है वक़्त गिर्या
हम ने न रखी मुँह पर ऐ अब्र-ए-आस्तीं भी
करता नहीं अबस तो पारा गुलो-फ़ुग़ाँ से
गुज़रे है पार दिल के इक नाला-ए-हज़ीं भी
हूँ एहतिज़ार में मैं आईना-रू शिताब आ
जाता है वर्ना ग़ाफ़िल फिर दम तो वापसीं भी
सीने से तीर उस का जी को तो लेता निकला
पर साथों साथ उस के निकली इक आफ़रीं भी
हर शब तिरी गली में आलम की जान जा है
आगे हवा है अब तक ऐसा सितम कहीं भी
शोख़ी-ए-जल्वा उस की तस्कीन क्यूँके बख़्शे
आईनों में दिलों के जो है भी फिर नहीं भी
गेसू ही कुछ नहीं है सुम्बुल की आफ़त उस का
हैं बर्क़ ख़िर्मन-ए-गुल रुख़्सार-ए-आतिशीं भी
तकलीफ़-ए-नाला मत कर ऐ दर्द दिल कि होंगे
रंजीदा राह चलते आज़ुर्दा हम-नशीं भी
किस किस का दाग़ देखें यारब ग़म-ए-बुताँ में
रुख़्सत तलब है जाँ भी ईमान और दीं भी
ज़ेर-ए-फ़लक जहाँ टक आसूदा 'मीर' होते
ऐसा नज़र न आया इक क़ता-ए-ज़मीं भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Zulm Shayari Shayari