hai vasl hijr aalam-e-tamkeen-o-zabt mein | है वस्ल हिज्र आलम-ए-तमकीन-ओ-ज़ब्त में

  - Mirza Ghalib

hai vasl hijr aalam-e-tamkeen-o-zabt mein
maashooq-e-shokh o aashiq-e-deewana chahiye

us lab se mil hi jaayega bosa kabhi to haan
shauq-e-fuzool o jur'at-e-rindaana chahiye

aashiq naqaab-e-jalva-e-jaanaana chahiye
fanoos-e-sham'a ko par-e-parwaana chahiye

है वस्ल हिज्र आलम-ए-तमकीन-ओ-ज़ब्त में
माशूक़-ए-शोख़ ओ आशिक़-ए-दीवाना चाहिए

उस लब से मिल ही जाएगा बोसा कभी तो हाँ
शौक़-ए-फ़ुज़ूल ओ जुरअत-ए-रिंदाना चाहिए

आशिक़ नाक़ाब-ए-जल्वा-ए-जानाना चाहिए
फ़ानूस-ए-शम्अ' को पर-ए-परवाना चाहिए

  - Mirza Ghalib

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari