yak-zarra-e-zameen nahin be-kaar baagh ka
yaa jaada bhi fateela hai laale ke daagh ka
be-may kise hai taqat-e-aashob-e-aagahi
kheecha hai izz-e-hausla ne khat ayaagh ka
bulbul ke kaarobaar pe hain khandah-ha-e-gul
kahte hain jis ko ishq khalal hai dimaagh ka
taaza nahin hai nashsha-e-fikr-e-sukhan mujhe
tiryaaqi-e-qadeem hoon dood-e-charaagh ka
sau baar band-e-ishq se azaad ham hue
par kya karein ki dil hi adoo hai faraagh ka
be-khoon-e-dil hai chashm mein mauj-e-nigah ghubaar
ye may-kada kharab hai may ke suraagh ka
baagh-e-shagufta tera bisaat-e-nashaat-e-dil
abr-e-bahaar khum-kad kis ke dimaagh ka
josh-e-bahaar-e-kulfat-e-nazzaara hai asad
hai abr pamba rouzan-e-deewar-e-baagh ka
यक-ज़र्रा-ए-ज़मीं नहीं बे-कार बाग़ का
याँ जादा भी फ़तीला है लाले के दाग़ का
बे-मय किसे है ताक़त-ए-आशोब-ए-आगही
खींचा है इज्ज़-ए-हौसला ने ख़त अयाग़ का
बुलबुल के कारोबार पे हैं ख़ंदा-हा-ए-गुल
कहते हैं जिस को इश्क़ ख़लल है दिमाग़ का
ताज़ा नहीं है नश्शा-ए-फ़िक्र-ए-सुख़न मुझे
तिर्याकी-ए-क़दीम हूँ दूद-ए-चराग़ का
सौ बार बंद-ए-इश्क़ से आज़ाद हम हुए
पर क्या करें कि दिल ही अदू है फ़राग़ का
बे-ख़ून-ए-दिल है चश्म में मौज-ए-निगह ग़ुबार
ये मय-कदा ख़राब है मय के सुराग़ का
बाग़-ए-शगुफ़्ता तेरा बिसात-ए-नशात-ए-दिल
अब्र-ए-बहार ख़ुम-कद किस के दिमाग़ का?
जोश-ए-बहार-ए-कुल्फ़त-ए-नज़्ज़ारा है 'असद'
है अब्र पम्बा रौज़न-ए-दीवार-ए-बाग़ का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Aankhein Shayari Shayari