ab na saaya na uska nishaan hai
door tak bas zameen aasmaan hai
de rahi hain sadaaein ye yaadein
shakhs har ik akela yahan hai
ho gaye raakh sapne vo saare
har taraf bas dhuaan hi dhuaan hai
hashr hona hi tha phir mera ye
ek muddat se chup ye zabaan hai
mar gaya main kahaani mein uski
mutthi mein jiski dono jahaan hai
अब न साया न उसका निशाँ है
दूर तक बस ज़मीं आसमाँ है
दे रही हैं सदाएँ ये यादें
शख़्स हर इक अकेला यहाँ है
हो गए राख सपने वो सारे
हर तरफ़ बस धुआँ ही धुआँ है
हश्र होना ही था फिर मिरा ये
एक मुद्दत से चुप ये ज़बाँ है
मर गया मैं कहानी में उसकी
मुठ्ठी में जिसकी दोनों जहाँ है
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari