shaam dhalti nahin raat kattee nahin
tishnagi zindagi kii vo chhatti nahin
jaanta hoon nahin aani vo raah par
zehan se kyun vo soorat bhi hatti nahin
hai khabar ho gaya hai vo dushman magar
shab bina uske ye ab to kattee nahin
jaane kisne churaaye hain sapne mere
kyun ye palkein bhi aankhon se hatti nahin
शाम ढ़लती नहीं रात कटती नहीं
तिश्नगी ज़िंदगी की वो छटती नहीं
जानता हूँ नहीं आनी वो राह पर
ज़ेहन से क्यों वो सूरत भी हटती नहीं
है ख़बर हो गया है वो दुश्मन मगर
शब बिना उसके ये अब तो कटती नहीं
जाने किसने चुराए हैं सपने मेरे
क्यों ये पलकें भी आँखों से हटती नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading Akhbaar Shayari Shayari