tootte hain bikhar jaate hain
saans lete hi mar jaate hain
saath ik shab nahin guzri par
vaada umron ka kar jaate hain
jis tarah nam hain aankhen meri
log sapnon se dar jaaten hain
zakhm pe zakhm dete raho
chehre kuchh ban sanwar jaate hain
door hai shehar uska abhi
laut kar ham bhi ghar jaate hain
टूटते हैं बिखर जाते हैं
साँस लेते ही मर जाते हैं
साथ इक शब नहीं गुज़री पर
वादा उम्रों का कर जाते हैं
जिस तरह नम हैं आँखें मिरी
लोग सपनों से डर जातें हैं
ज़ख़्म पे ज़ख़्म देते रहो
चेहरे कुछ बन सँवर जाते हैं
दूर है शहर उसका अभी
लौट कर हम भी घर जाते हैं
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari