uski yaadon se nikal jaate
ham bhi behlaaye bahal jaate
thaam leta koii jo mujhko
shaan se phir ham bhi jal jaate
usne dekha hi nahin mud ke
warna gham mere bhi pal jaate
jo agar chhoo leta vo mujhko
laakhon mein phir ham bhi chal jaate
hoti ulfat jo na usse to
ham bhi ankur usko chhal jaate
उसकी यादों से निकल जाते
हम भी बहलाए बहल जाते
थाम लेता कोई जो मुझको
शान से फिर हम भी जल जाते
उसने देखा ही नहीं मुड़ के
वर्ना ग़म मेरे भी पल जाते
जो अगर छू लेता वो मुझको
लाखों में फिर हम भी चल जाते
होती उल्फ़त जो न उससे तो
हम भी अंकुर उसको छल जाते
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari