nahin hoti agar baarish to patthar ho gaye hote
ye saare lahlahaate khet banjar ho gaye hote
tere daaman se saari shehar ko sailaab se roka
nahin to maire ye aansoo samandar ho gaye hote
tumhein ahle siyaasat ne kahi ka bhi nahin rakha
hamaare saath rahte to sukhanvar ho gaye hote
agar aadaab kar lete to masnad mil gai hoti
agar lahja badal lete governor ho gaye hote
नहीं होती अगर बारिश तो पत्थर हो गए होते
ये सारे लहलहाते खेत बंजर हो गए होते
तेरे दामन से सारी शहर को सैलाब से रोका
नहीं तो मैरे ये आंसू समन्दर हो गए होते
तुम्हें अहले सियासत ने कहीं का भी नहीं रक्खा
हमारे साथ रहते तो सुख़नवर हो गए होते
अगर आदाब कर लेते तो मसनद मिल गई होती
अगर लहजा बदल लेते गवर्नर हो गए होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munawwar Rana
our suggestion based on Munawwar Rana
As you were reading Politics Shayari Shayari