thehraav to usmein tha hi nahin rukti thi nikal liya karti thi | ठहराव तो उसमें था ही नहीं, रुकती थी निकल लिया करती थी

  - Muzdum Khan

thehraav to usmein tha hi nahin rukti thi nikal liya karti thi
main kapde badalte sochta tha vo mard badal liya karti thi

mujhe apne banaaye raaston par bhi joote pahanna padte the
vo logon ke seene par bhi joote utaar kar chal liya karti thi

mere haath zaboob ho jaate the mere chashme syaah ho jaate the
main usko naqaab ka kehta tha vo kaalikh mal liya karti thi

us aurat ne bezaar kiya ik baar nahin sau baar kiya
gaanon pe uchhal nahin paati thi baaton pe uchhal liya karti thi

tareeq mahal ko shaahzaadi ne raushan rakha kaneezon se
kabhi unko jala liya karti thi kabhi unse jal liya karti thi

aadaab-e-tijaarat se bhi na-waaqif thi sher-o-adab ki tarah
mujhe waisa pyaar nahin deti thi jaisi ghazal liya karti thi

ठहराव तो उसमें था ही नहीं, रुकती थी निकल लिया करती थी
मैं कपड़े बदलते सोचता था, वो मर्द बदल लिया करती थी

मुझे अपने बनाए रास्तों पर भी जूते पहनना पड़ते थे
वो लोगों के सीने पर भी जूते उतार कर चल लिया करती थी

मेरे हाथ ज़बूँ हो जाते थे मेरे चश्मे स्याह हो जाते थे
मैं उसको नक़ाब का कहता था, वो कालिख मल लिया करती थी

उस औरत ने बेज़ार किया, इक बार नहीं सौ बार किया
गानों पे उछल नहीं पाती थी, बातों पे उछल लिया करती थी

तारीक़ महल को शाहज़ादी ने रौशन रक्खा कनीज़ों से
कभी उनको जला लिया करती थी कभी उनसे जल लिया करती थी

आदाब-ए-तिज़ारत से भी ना-वाक़िफ़ थी शेर-ओ-अदब की तरह
मुझे वैसा प्यार नहीं देती थी जैसी ग़ज़ल लिया करती थी

  - Muzdum Khan

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muzdum Khan

As you were reading Shayari by Muzdum Khan

Similar Writers

our suggestion based on Muzdum Khan

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari