tumhaare jaane ka ham ko malaal thodi hai
udaasiyon mein tumhaara khayal thodi hai
manaauun kis tarah holi main doston ke saath
hain sab ke haath mein khanjar gulaal thodi hai
mujhe ye gham hai vo ab saath hai raqeebon ke
ye aankh us ke bichhadne se laal thodi hai
sawaal ye hai hawa aayi kis ishaare par
charaagh kis ke bujhe ye sawaal thodi hai
karam hai us ka agar vo nawaazta hai hamein
hamaare sajdon ka is mein kamaal thodi hai
तुम्हारे जाने का हम को मलाल थोड़ी है
उदासियों में तुम्हारा ख़याल थोड़ी है
मनाऊँ किस तरह होली मैं दोस्तों के साथ
हैं सब के हाथ में ख़ंजर गुलाल थोड़ी है
मुझे ये ग़म है वो अब साथ है रक़ीबों के
ये आँख उस के बिछड़ने से लाल थोड़ी है
सवाल ये है हवा आई किस इशारे पर
चराग़ किस के बुझे ये सवाल थोड़ी है
करम है उस का अगर वो नवाज़ता है हमें
हमारे सज्दों का इस में कमाल थोड़ी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadim Nadeem
our suggestion based on Nadim Nadeem
As you were reading Pollution Shayari Shayari