na jaane kyun
mujhe akshar gumaan hota hai
mah-e-tamaam faqat dekhta nahin hai hamein
vo jabr-o-qaid-e-musalsal pe ik mashqat ki
hazaaron saal se is be-karaan masafat ki
bisaat-e-waqt ki
ik dastaan sunaata hai
samajh saken to
bahut kuchh hamein bataata hai
न जाने क्यूँ
मुझे अक्सर गुमान होता है
मह-ए-तमाम फ़क़त देखता नहीं है हमें
वो जब्र-ओ-क़ैद-ए-मुसलसल पे इक मशक़्क़त की
हज़ारों साल से इस बे-कराँ मसाफ़त की
बिसात-ए-वक़्त की
इक दास्ताँ सुनाता है
समझ सकें तो
बहुत कुछ हमें बताता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad
our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari