aankhon ye aansu bhi rasta chahta hai | आँखों ये आँसू भी रस्ता चाहता है

  - Nakul kumar

aankhon ye aansu bhi rasta chahta hai
koi gham hai jo nikalna chahta hai

kitna hai be-taab mujh ko tod kar bhi
phir vo patthar koi sheesha chahta hai

zehan maane baitha hai rasta badal luun
mahaj dil hai ki bahaana chahta hai

waqt badla hai mera chehra nahin dost
ab tu mere saath rishta chahta hai

bheekh jabran maangni padti hai usko
baccha vo bhi ik khilauna chahta hai

आँखों ये आँसू भी रस्ता चाहता है
कोई ग़म है जो निकलना चाहता है

कितना है बे-ताब मुझ को तोड़ कर भी
फिर वो पत्थर कोई शीशा चाहता है

ज़ेहन माने बैठा है रस्ता बदल लूँ
महज़ दिल है की बहाना चाहता है

वक़्त बदला है मिरा चेहरा नहीं दोस्त
अब तू मेरे साथ रिश्ता चाहता है

भीख जबरन माँगनी पड़ती है उसको
बच्चा वो भी इक खिलौना चाहता है

  - Nakul kumar

Raqeeb Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nakul kumar

As you were reading Shayari by Nakul kumar

Similar Writers

our suggestion based on Nakul kumar

Similar Moods

As you were reading Raqeeb Shayari Shayari