saath laga jab to ajab aish ka dahaadaa
jis baagh mein gendon ke gaye usko ukhaada
dekhi kabhi sarson kabhi nargis ko ujaada
kahte the isee baat ko ban jhaad pahaad
sabki to basante hain pai yaaron ka basanta
khush baithe hain sab shaho wazeer aaj aha ha
dil shaad hain adnaao faqeer aaj aha ha
bulbul ki nikalti hai safeer aaj aha ha
kehta yahi firta hai nazeer aaj aha ha
sabki to basante hain pai yaaron ka basanta
साथ लगा जब तो अ़जब ऐश का दहाड़ा।
जिस बाग़ में गेंदों के गए उसको उखाड़ा।
देखी कभी सरसों कभी नरगिस को उजाड़ा।
कहते थे इसी बात को बन, झाड़, पहाड़।
सबकी तो बसन्तें हैं पै यारों का बसन्ता॥
खु़श बैठे हैं सब शाहो वजीर आज अहा हा!।
दिल शाद हैं अदनाओ फ़क़ीर आज अहा हा!।
बुलबुल की निकलती है सफ़ीर आज अहा हा!।
कहता यही फिरता है ”नज़ीर“ आज अहा हा!।
सबकी तो बसन्तें हैं पै यारों का बसन्ता॥
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazeer Akbarabadi
our suggestion based on Nazeer Akbarabadi
As you were reading Relationship Shayari Shayari