chahten mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain
ghonsle ban ke toot jaate hain daagh shaakhon pe chahchahaate hain
aane waale bayaaz mein apni jaane waalon ke naam likhte hain
sab hi auron ke khaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain
maut ik waahima hai nazaron ka saath chhutta kahaan hai apnon ka
jo zameen par nazar nahin aate chaand taaron mein jagmagate hain
ye musavvir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain
doosron ki shabahtein le kar apni tasveer hi banaate hain
yun hi chalta hai kaarobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahan
jin darakhton mein fal nahin aate vo jalane ke kaam aate hain
चाहतें मौसमी परिंदे हैं रुत बदलते ही लौट जाते हैं
घोंसले बन के टूट जाते हैं दाग़ शाख़ों पे चहचहाते हैं
आने वाले बयाज़ में अपनी जाने वालों के नाम लिखते हैं
सब ही औरों के ख़ाली कमरों को अपनी अपनी तरह सजाते हैं
मौत इक वाहिमा है नज़रों का साथ छुटता कहाँ है अपनों का
जो ज़मीं पर नज़र नहीं आते चाँद तारों में जगमगाते हैं
ये मुसव्विर अजीब होते हैं आप अपने हबीब होते हैं
दूसरों की शबाहतें ले कर अपनी तस्वीर ही बनाते हैं
यूँ ही चलता है कारोबार-ए-जहाँ है ज़रूरी हर एक चीज़ यहाँ
जिन दरख़्तों में फल नहीं आते वो जलाने के काम आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Nigaah Shayari Shayari