dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
khairaat mein itni badi daulat nahin milti
kuchh log yoonhi shehar mein ham se bhi khafa hain
har ek se apni bhi tabi'at nahin milti
dekha hai jise main ne koi aur tha shaayad
vo kaun tha jis se tiri soorat nahin milti
hanste hue chehron se hai bazaar ki zeenat
rone ki yahan vaise bhi furqat nahin milti
nikla karo ye sham'a liye ghar se bhi baahar
kamre mein sajaane ko museebat nahin milti
दिल में न हो जुरअत तो मोहब्बत नहीं मिलती
ख़ैरात में इतनी बड़ी दौलत नहीं मिलती
कुछ लोग यूँही शहर में हम से भी ख़फ़ा हैं
हर एक से अपनी भी तबीअ'त नहीं मिलती
देखा है जिसे मैं ने कोई और था शायद
वो कौन था जिस से तिरी सूरत नहीं मिलती
हँसते हुए चेहरों से है बाज़ार की ज़ीनत
रोने की यहाँ वैसे भी फ़ुर्सत नहीं मिलती
निकला करो ये शम्अ लिए घर से भी बाहर
कमरे में सजाने को मुसीबत नहीं मिलती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Gaon Shayari Shayari