har ek baat ko chup-chaap kyun suna jaaye | हर एक बात को चुप-चाप क्यूँ सुना जाए - Nida Fazli

har ek baat ko chup-chaap kyun suna jaaye
kabhi to hausla kar ke nahin kaha jaaye

tumhaara ghar bhi isee shehar ke hisaar mein hai
lagi hai aag kahaan kyun pata kiya jaaye

juda hai heer se raanjha kai zamaanon se
naye sire se kahaani ko phir likha jaaye

kaha gaya hai sitaaron ko choona mushkil hai
ye kitna sach hai kabhi tajurba kiya jaaye

kitaaben yun to bahut si hain mere baare mein
kabhi akela mein khud ko bhi padh liya jaaye

हर एक बात को चुप-चाप क्यूँ सुना जाए
कभी तो हौसला कर के नहीं कहा जाए

तुम्हारा घर भी इसी शहर के हिसार में है
लगी है आग कहाँ क्यूँ पता किया जाए

जुदा है हीर से राँझा कई ज़मानों से
नए सिरे से कहानी को फिर लिखा जाए

कहा गया है सितारों को छूना मुश्किल है
ये कितना सच है कभी तजरबा किया जाए

किताबें यूँ तो बहुत सी हैं मेरे बारे में
कभी अकेले में ख़ुद को भी पढ़ लिया जाए

- Nida Fazli
1 Like

Motivational Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari Shayari