jaane waalon se raabta rakhna
dosto rasm-e-faatihah rakhna
ghar ki ta'aamir chahe jaisi ho
us mein rone ki kuchh jagah rakhna
masjidein hain namaaziyo ke liye
apne ghar mein kahi khuda rakhna
jism mein failne laga hai shehar
apni tanhaaiyaan bacha rakhna
milna-julna jahaan zaroori hai
milne-julne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
जाने वालों से राब्ता रखना
दोस्तो रस्म-ए-फ़ातिहा रखना
घर की ता'मीर चाहे जैसी हो
उस में रोने की कुछ जगह रखना
मस्जिदें हैं नमाज़ियों के लिए
अपने घर में कहीं ख़ुदा रखना
जिस्म में फैलने लगा है शहर
अपनी तन्हाइयाँ बचा रखना
मिलना-जुलना जहाँ ज़रूरी है
मिलने-जुलने का हौसला रखना
उम्र करने को है पचास को पार
कौन है किस जगह पता रखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Rishta Shayari Shayari