nayi nayi aankhen hon to har manzar achha lagta hai
kuchh din shehar mein ghume lekin ab ghar achha lagta hai
milne-julne waalon mein to sab hi apne jaise hain
jis se ab tak mile nahin vo akshar achha lagta hai
mere aangan mein aaye ya tere sar par chot lage
sannaaton mein bolne waala patthar achha lagta hai
chaahat ho ya pooja sab ke apne apne saanche hain
jo maut mein dhal jaaye vo paikar achha lagta hai
ham ne bhi so kar dekha hai naye purane shehron mein
jaisa bhi hai apne ghar ka bistar achha lagta hai
नई नई आँखें हों तो हर मंज़र अच्छा लगता है
कुछ दिन शहर में घूमे लेकिन अब घर अच्छा लगता है
मिलने-जुलने वालों में तो सब ही अपने जैसे हैं
जिस से अब तक मिले नहीं वो अक्सर अच्छा लगता है
मेरे आँगन में आए या तेरे सर पर चोट लगे
सन्नाटों में बोलने वाला पत्थर अच्छा लगता है
चाहत हो या पूजा सब के अपने अपने साँचे हैं
जो मौत में ढल जाए वो पैकर अच्छा लगता है
हम ने भी सो कर देखा है नए पुराने शहरों में
जैसा भी है अपने घर का बिस्तर अच्छा लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Death Shayari Shayari