vo khush-libaas bhi khush-dil bhi khush-ada bhi hai
magar vo ek hai kyun us se ye gila bhi hai
hamesha mandir-o-masjid mein vo nahin rehta
suna hai bacchon mein chhup kar vo khelta bhi hai
na jaane ek mein us jaise aur kitne hain
vo jitna paas hai utna hi vo juda bhi hai
wahi ameer jo rozi-rasaan hai aalam ka
faqeer ban ke kabhi bheek maangata bhi hai
akela hota to kuchh aur faisla hota
meri shikast mein shaamil meri dua bhi hai
वो ख़ुश-लिबास भी ख़ुश-दिल भी ख़ुश-अदा भी है
मगर वो एक है क्यूँ उस से ये गिला भी है
हमेशा मंदिर-ओ-मस्जिद में वो नहीं रहता
सुना है बच्चों में छुप कर वो खेलता भी है
न जाने एक में उस जैसे और कितने हैं
वो जितना पास है उतना ही वो जुदा भी है
वही अमीर जो रोज़ी-रसाँ है आलम का
फ़क़ीर बन के कभी भीक माँगता भी है
अकेला होता तो कुछ और फ़ैसला होता
मिरी शिकस्त में शामिल मिरी दुआ भी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Shikwa Shayari Shayari