chautha aadmi | "चौथा आदमी"

  - Nida Fazli

chautha aadmi

baithe baithe yoonhi qalam le kar
main ne kaaghaz ke ek kone par
apni maa
apne baap ke do naam
ek ghera bana ke kaat diye
aur
is gol daayere ke qareeb
apna chhota sa naam taank diya
mere uthte hi mere bacche ne
poore kaaghaz ko le kar faad diya

"चौथा आदमी"

बैठे बैठे यूँही क़लम ले कर
मैं ने काग़ज़ के एक कोने पर
अपनी माँ
अपने बाप के दो नाम
एक घेरा बना के काट दिए
और
इस गोल दाएरे के क़रीब
अपना छोटा सा नाम टाँक दिया
मेरे उठते ही, मेरे बच्चे ने
पूरे काग़ज़ को ले कर फाड़ दिया!

  - Nida Fazli

Father Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Father Shayari Shayari