maara hai gham ne is qadar
roye khushi ye dekh kar
dil dhadhke hai joron se kyun
jab dekhen vo yoon ik nazar
dhoodhon kidhar vo hai gaya
aangan mein tha jo ik shajar
dekha to in aankhon ne tha
phir kyun hua dil pe asar
sab kuchh guzar jaata hai to
maazi mere tu bhi guzar
khoya raha main is kadar
dhoondhen mujhe mera hi ghar
manzil sabhi ki maut hai
hai zindagi bas ik safar
मारा है ग़म ने इस क़दर
रोए खुशी ये देख कर
दिल धड़के है जोरों से क्यूँ
जब देखें वो यूं इक नज़र
ढूढों किधर वो है गया
आँगन में था जो इक शजर
देखा तो इन आँखों ने था
फिर क्यूँ हुआ दिल पे असर?
सब कुछ गुज़र जाता है तो
माज़ी मिरे तू भी गुज़र
खोया रहा मैं इस कदर
ढूंढें मुझे मेरा ही घर
मंजिल सभी की मौत है
है जिंदगी बस इक सफ़र
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by NISHKARSH AGGARWAL
our suggestion based on NISHKARSH AGGARWAL
As you were reading Khudkushi Shayari Shayari