ik tawaazun ko bigaara nahin ja saka hai | इक तवाज़ुन को बिगाड़ा नहीं जा सकता है

  - Obaid Azam Azmi

ik tawaazun ko bigaara nahin ja saka hai
ghar kisi ka ho ujaada nahin ja saka hai

aur gaadi koi uske liye laani hogi
car mein itna kabaadaa nahin ja saka hai

jo saza uski ho de deejie usko ik din
roz mujrim ko lataada nahin ja saka hai

kal ye kaanoon bhi aa saka hai sheron ke liye
be-ijaazat ke dahaadaa nahin ja saka hai

dour-e-majnoon ki mohabbat mein suhoolat thi bahut
ab girebaan ko faara nahin ja saka hai

garm jazbaat ki aanch aur hai darkaar owaed
itni garmi se to jaada nahin ja saka hai

इक तवाज़ुन को बिगाड़ा नहीं जा सकता है
घर किसी का हो उजाड़ा नहीं जा सकता है

और गाड़ी कोई उसके लिए लानी होगी
कार में इतना कबाड़ा नहीं जा सकता है

जो सज़ा उसकी हो दे दीजिए उसको इक दिन
रोज़ मुजरिम को लताड़ा नहीं जा सकता है

कल ये कानून भी आ सकता है शेरों के लिए
बे-इजाज़त के दहाड़ा नहीं जा सकता है

दौर-ए-मजनूँ की मोहब्बत में सुहूलत थी बहुत
अब गिरेबान को फाड़ा नहीं जा सकता है

गर्म जज़्बात की आँच और है दरकार ओवैद
इतनी गर्मी से तो जाड़ा नहीं जा सकता है

  - Obaid Azam Azmi

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaid Azam Azmi

As you were reading Shayari by Obaid Azam Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Obaid Azam Azmi

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari